Billu kis ke liye? / Students 18+
Kis dost ne kitna dena hai, yaad rakhna ab Billu ka kaam.
Pocket money ho ya kamaai, hisaab saaf. Canteen, rickshaw, mobile package, dosto ke saath bahar khana: chhote kharche jaldi bade ho jaate hain. Billu har rupay ka hisaab rakhega, Urdu ya English, jaise aap chahein.
Launch par 14 din poora Member free, koi card nahi. Free calculators try karo

Student life, Billu ke saath
Chhote kharche, bara farq.
Chat se likho
App mein "Canteen 350, rickshaw 200" likho, Billu jod dega. Koi form nahi.
Dosto ka udhaar
Dosti apni jagah, hisaab apni jagah. Kis ne kitna dena hai, Billu yaad rakhega.
Part-time kamaai
Tuition, freelancing ya weekend job: kamaai aur kharcha ek jagah saaf.
Bachat ka goal
Laptop, trip ya course: target rakho, Billu batata rahega aap kitna qareeb ho.
Billu se baat, bilkul aasaan
Design preview, final app mukhtalif ho sakti hai.
Abhi try karein, free
Ye calculators aaj hi chalte hain. Kuch save nahi hota.
Faisla aap ka, hisaab mera.
Aksar pooche gaye sawal
Hisaab Desk kis umar ke liye hai?
Hisaab Desk 18 saal aur us se bari umar ke users ke liye hai.
Roman Urdu mein likh sakte hain?
Bilkul. Urdu, Roman Urdu ya English: jaise aap dosto ko likhte hain, waise Billu ko likhein.
Waitlist join karne ka koi kharcha hai?
Nahi, waitlist join karna free hai. App launch hote hi hum aap ko WhatsApp pe batayenge.
Apna hisaab, apne control mein.
Waitlist join karein. App aate hi Billu aap ko WhatsApp pe khabar dega.
๐ Waitlist par hum sirf aap ka naam, number aur signup ki basic details (desk, page, aur kis link se aaye) launch updates ke liye rakhte hain (link ka tag aap ke browser mein 30 din save rehta hai). Hum data bechte nahi. Hatwane ke liye: [email protected]. Aur detail: Data privacy
Billu aur kis kis ke liye hai: